Nainan Mein Barasaat

Lata Mangeshkar

Compositor: Não Disponível

Nainan mein barasaat man mein kaajal kaali raat - 2
Andhakaar hi andhakaar hai diwas rain ban jaat - 2
Nainan mein barsaat man mein kaajal kaali raat

Hooooooooooooo
Prit karuun ya rit nibhaayuun - 2
Man ki sunu ya tan ki
Maati ki maala dekhuun ya shobha man madhuban ki
Shobha man madhuban ki
(praanon ka hansa vyaakul hai
Biraha saha nahin jaat) - 2
Nainan mein barsaat man mein kaajal kaali raat

Hoooooooooo
Ek aur dekhenge naate alakh duusari aur
Ankhiyaan chandra chakor bani hai
Chanda nand kishore - 2
(ansuan mein zarate angaare
Dukh nahin nain samaat) - 2
Nainan mein barsaat man mein kaajal kaali raat

©2003- 2024 lyrics.com.br · Aviso Legal · Política de Privacidade · Fale Conosco desenvolvido por Studio Sol Comunicação Digital